***** Jo mila khud ko dhundta hi mila Jo mila khud ko dhundta hi mila Har jagah koi doosara hi mila Gham nahin sota aadami ki tarah Neend mein bhi ye jaagta hi mila Khud se hi mil ke laut aaye hum Humko har smit aaina hi mila Jab se goya hui hai khamoshi Bolane waala besada hi mila Har thakan ka fareb hai manzil Chalne waalon ko raasta hi mila Nida Fazli <----- Zindagi Intezar … [Read more...]
Nida Fazli – Zindagi Intezar jaisi hai (निदा फ़ाज़ली – ज़िन्दगी इंतज़ार जैसी है)
***** Zindagi Intezar jaisi hai Zindagi Intezar jaisi hai Door tak rahgujar jaisi hai Chand bechehara aahaton ke siwa Sari basti mazaar jaisi hain Raaste chal rahe hai sadiyon se Koi manzil gubaar jaisi hain Koi tanhaai ab nahi tanha Har khamoshi pukar jaisi hai Zindagi roz ka hisaab-kitaab Kimati shai udhaar jaisi hai Nida Fazli <---- Uske dushman hain bahut aadmi accha hoga … [Read more...]
Nida Fazli – Uske dushman hain bahut aadmi acha hoga (निदा फ़ाज़ली – उसके दुश्मन हैं बहुत आदमी अच्छा होगा)
***** Uske dushman hain bahut aadmi accha hoga Uske dushman hain bahut aadmi accha hoga Wo bhi meri tarah is shehar mein tanha hoga Itna sach bol ki hontho ka tabssum na bujhe Roshni khtam na kar aage andhera hoga Pyas jis nahar se takrai wo banzar nikali Jiskon peechhe kahin chhod aaye wo dariya hoga Ek mahfil mein kai mehfilein hoti hain shariq Jisko bhi paas se dekhoge akela hoga Mere … [Read more...]
Nida Fazli – Tera sach hai tere ajabon mein (निदा फ़ाज़ली – तेरा सच है तेरे अजाबों में)
***** Tera sach hai tere ajabon mein Tera sach hai tere ajabon mein Jhuth likha hai sab kitabon mein Ek se mil ke sab se mil lijiye Aaj har shakhs hai naqabon mein Tera milna tira nahin milna Ek rasta kai sarabon mein Unki nakamiyon ko bhi giniye Jinki shoharat hai kaamyabon mein Roshni thi sawal ki had tak Har nazar kho gayi jawabon mein Nida Fazli <--- Deewar-o-dar se utar ke … [Read more...]
Nida Fazli – Deewar-o-dar se utar ke parchaiyan bolti hain (निदा फ़ाज़ली – दीवार-ओ-दर से उतर के परछाइयाँ बोलती हैं)
***** Deewar-o-dar se utar ke parchaiyan bolti hain Deewar-o-dar se utar ke parchaiyan bolti hain Koi nahin bolta jab tanhaiyan bolti hain Pardesh ke raston mein rukte kahan hain musafir Har ped kehata hai kissa khamoshiyan bolti hain Mausam kahan manta hai tahzeeb ki bandishon ko Jismon se baahar aakar angdaiyan bolti hain Ek bar to zindagi mein milti hai sabko hukoomat Kuchh din to har … [Read more...]
Nida Fazli – Abke khafa hua hai to itna khafa bhi ho (निदा फ़ाज़ली – अबके खफा हुआ है तो इतना खफा भी हो)
***** Abke khafa hua hai to itna khafa bhi ho Abke khafa hua hai to itna khafa bhi ho Tu bhi ho aur tujh mein koi dusara bhi ho Yun to har ek beej ki fitrat darkht hai Khilte hai jis pe phool wo aab-o-hawa bhi ho Aankhein na chhin meri naqaabein badalta chal Yun ho ki tu kareeb bhi ho aur juda bhi ho Rishton ke rezgaar mein har sar pe dhoop hai Har pannv mein safar hai magar rasta bhi … [Read more...]
Nida Fazli – Jinki palkein bheeg rahi hain unko bhi gham hoga (निदा फ़ाज़ली – जिनकी पलकें भीग रही हैं उनको भी ग़म होगा)
***** Jinki palkein bheeg rahi hain unko bhi gham hoga Jinki palkein bheeg rahi hain unko bhi gham hoga Lekin jis par aab na thahare wo moti kam hoga Mere geeton jaisi tere phoolon ki tahreerein Dharti tere andar bhi shayad koi gham hoga Bheeg chuki hai raat to sooraj ke ugane tak jaago Jis takiye par sar rakhoge wo takiya nam hoga Badal, chand, ghatayen, sooraj ye baatein kya jaane Unse … [Read more...]
Nida Fazli- Mumkin hai safar ho aasan ab sath bhi chalkar dekhein (निदा फ़ाज़ली – मुमकिन है सफर हो आसाँ अब साथ भी चलकर देखें)
***** Mumkin hai safar ho aasan ab sath bhi chalkar dekhein Mumkin hai safar ho aasan ab sath bhi chalkar dekhein Kuch tum bhi badalkar dekhon, kuch hum hi badal kar dekhein Aankhon mein koi chehara ho, har gaam pe ik pehara ho Jungle se chale basti mein duniya ko sambhalkar dekhein Sooraj ki tapish bhi dekhi, sholon ki kashish bhi dekhi abke jo ghatayen chhayen barsat mein jalkar … [Read more...]
Nida Fazli – Har chamkti kurbat mein ek fasala dekhun (निदा फ़ाज़ली – हर चमकती कुर्बत में एक फासला देखूँ)
***** Har chamkti kurbat mein ek fasala dekhun Har chamkti kurbat mein ek fasala dekhun Kaun aane wala hai, kiska raasta dekhun Sham ka dhundhalka hai ya udas mamta hai Bhuli-bisari yaadon se futti dua dekhun Masjidon mein sazdon ki mashalein hui roshan Bechirag galiyon mein khelta khuda dekhun Lahar-lahar pani mein doobta hua sooraj Kaun mujh mein dar aaya uth ke aaina dekhun Lahlhaate … [Read more...]
Nida Fazli – Ghar se nikale to socho kidhar jaoge (निदा फ़ाज़ली – घर से निकले तो हो सोचो किधर जाओगो)
***** Ghar se nikale to socho kidhar jaoge Ghar se nikale to socho kidhar jaoge Har taraf tez hawayen hain bikhar jaoge Itna aasan nahin lafjon pe bharosa karna Ghar ki dahleez pukaregi jidhar jaoge Sham hote hi simat jayenge sare raste Bahte dariya mein jahan honge, thahar jaoge Har naye shahar mein kuchh raatein kadi hoti hain Chhat se deewarein juda hogi to dar jaoge Pehale har cheez … [Read more...]