Adam Gondvi ***** Wo jiske haath mein chaale hai pairon mein biwaai hai Wo jiske haath mein chaale hai pairon mein biwaai hai Usi ke dam se raunak aapke bangale mein aai hai Idhar ek din ki aamdani ka ausat hai chawnni ka Udhar laakhon mein Gandhi ji ke chelon ki kamaai hai Koi bhi sirphira dhamka ke jab chaahe jina kar le Hamara mulk is maane mein budhua ki lugaai hai Roti kitni … [Read more...]
Adam Gondvi – Ghar mein thande chulhe par agar khaali patili hai (अदम गोंडवी – घर में ठंडे चूल्हे पर अगर खाली पतीली है)
***** घर में ठंडे चूल्हे पर अगर खाली पतीली है घर में ठंडे चूल्हे पर अगर खाली पतीली है बताओ कैसे लिख दूँ धूप फाल्गुन की नशीली है भटकती है हमारे गाँव में गूँगी भिखारन-सी सुबह से फरवरी बीमार पत्नी से भी पीली है बग़ावत के कमल खिलते हैं दिल की सूखी दरिया में मैं जब भी देखता हूँ आँख बच्चों की पनीली है सुलगते जिस्म की गर्मी का फिर एहसास वो कैसे मोहब्बत की कहानी अब जली माचिस की तीली है अदम … [Read more...]
Adam Gondvi – Bzaahir pyar ki duniya mein jo nakaam hota hai (अदम गोंडवी – बज़ाहिर प्यार की दुनिया में जो नाकाम होता है)
Adam Gondavi ***** Bzaahir pyar ki duniya mein jo nakaam hota hai Bzaahir pyar ki duniya mein jo nakaam hota hai Koi Ruso koi Hitlar koi Khyyaam hota hai Zahar dete hai usko ham ki le jaate hai sooli par Yahi har duar ke mansoor ka anzaam hota hai Junoone-shauk mein beshak lipatne ko lipat jaaye Hawaaon mein kahi mahboob ka paigaam hota hai Siyaasi bajm mein aksar Julekha ke ishaaron … [Read more...]
Adam Gondvi – Jo Dalhauji na kar paya wo ye hukkaam kar denge (अदम गोंडवी – जो डलहौजी न कर पाया वो ये हुक्काम कर देंगे)
Adam Gondvi ***** Jo Dalhauji na kar paya wo ye hukkaam kar denge Jo Dalhauji na kar paya wo ye hukkaam kar denge Kamishan do to Hindustan ko nilaam kar denge Sura w sundari ke shauk mein dobe hue rahbar Dilli ki rangeeleshaah ko hammaam kar denge Ye vandemaatram ka geet gaate hai subah uthkar Magar baazar mein cheezon ka duguna daam kar denge Sadan ko ghush dekar bach gai kursi to … [Read more...]
Adam Gondvi – Aap kahte hai saraapa gulmuhar hai zindagi (अदम गोंडवी – आप कहते हैं सरापा गुलमुहर है ज़िन्दगी)
Adam Gondvi ***** Aap kahte hai saraapa gulmuhar hai zindagi Aap kahte hai saraapa gulmuhar hai zindagi Ham gareebon ki nazar mein ik kahar hai zindagi Bhukhmari ki dhoop mein kumhla gai asmat ki bel Maut ke lamhaat se bhi talkhtar hai zindagi Daal par mazhab ki paiham khil rahe dango ke phool Khwaab ke saaye mein phir bhi bekhabar hai zindagi Roshani ki laash se ab tak zina karte … [Read more...]
Adam Gondvi – Hindu ya muslim ke ahsaasaat ko mat chhediye (अदम गोंडवी – हिन्दू या मुस्लिम के अहसासात को मत छेड़िये)
***** Hindu ya muslim ke ahsaasaat ko mat chhediye Hindu ya muslim ke ahsaasaat ko mat chhediye Apni kursi ke liye jajbaat ko mat chhediye Hum me koi hun, koi shak, koi mangol hai Dafn hai jo baat, ab us baat ko mat chhediye Gar galtiyaan Babar ki thi, Jumman ka ghar phir kyon jale Aese naazuk waqt mein haalaat ko mat cheediye Hai kahan Hitlar, Halaakoo, Zaar yan Chngez khaan Mit gaye … [Read more...]
Adam Gondvi – Ghazal ko le chalo ab gaanv ke dilkash nazaron mein (अदम गोंडवी – ग़ज़ल को ले चलो अब गाँव के दिलकश नज़ारों में)
Adam Gondvi 2 October 1947/ Gonda - 18 December 2011/ Lucknow ***** Ghazal ko le chalo ab gaanv ke dilkash nazaron mein Ghazal ko le chalo ab gaanv ke dilkash nazaron mein Musalsal fan ka dam ghutta hai in adabi idaaron mein Na in mein wo kashish hogi, na boo hogi, na raanaai hogi Khilenge phool beshak laan ki lambi kataaron mein Adeebo ! thos dharti ki satah par laut bhi aao Mulamme ke … [Read more...]
Adam Gondvi – Chand hai zere kadam sooraj khilauna ho gaya (अदम गौंडवी – चाँद है ज़ेरे क़दम सूरज खिलौना हो गया)
Adam Gondvi 2 October 1947/ Gonda - 18 December 2011/ Lucknow ***** Chand hai zere kadam sooraj khilauna ho gaya Chand hai zere kadam sooraj khilauna ho gaya Haan, Magar is daur mein kirdaar bauna ho gaya Shahar ke dango mein jab bhi muflison ke ghar jale Kothiyon ki laan ka manzar salauna ho gaya Dho raha hai aadami kaandhe pe khud apni saleeb Zindgii ka falsafa jab bojh dhona ho … [Read more...]
Adam Gondvi – Kajoo bhune palet mein viski gilaas mein (अदम गोंडवी – काजू भुने पलेट में विस्की गिलास में)
Adam Gondvi 2 October 1947/ Gonda - 18 December 2011/ Lucknow अदम गोंडवी की कविताओं के दो संग्रह ‘समय से मुठभेड़’ और ‘धरती की सतह पर’ किताबघर प्रकाशन ने छापे है। ***** Kajoo bhune palet mein viski gilaas mein Kajoo bhune palet mein viski gilaas mein Utara hai Ramraj vidhaayak nivaas mein Pakke samaajvaadi hai taskar ho ya dakait Itna asar hai khaadi ke ujale libaas mein Ajadi ka wo jashn … [Read more...]

