Adam Gondvi ***** Gar chand tavareekhi tahreer badal donge Gar chand tavareekhi tahreer badal donge Kya inse kisi kaum ki taqdir badal doge Jaayas se wo hind ki dariya jo bah ke aai Modoge uski dhaar ya neer badal doge ? Jo aks ubharta hai Raskhan ki nazmo mein Kya krishn ki wo mohak tasveer badal doge ? Taareekh bataati hai tum bhi to lutere ho Kya Dravido.n se chheeni jaagir badal … [Read more...]
Adam Gondvi – Ved mein jinka hawaala haashiye par bhi nahi (अदम गोंडवी – वेद में जिनका हवाला हाशिये पर भी नहीं)
Adam Gondvi ***** Ved mein jinka hawaala haashiye par bhi nahi Ved mein jinka hawaala haashiye par bhi nahi We abhaage aastha vishwaas lekar kya kare Lokranjan ho jahan Shambook-vadh ki aad mein Us vyavstha ka ghrnit itihaas lekar kya kare Kitna pratigaami raha bhoge hue kshn ka itihaas Traasdi, kuntha, ghutan, santraas lekar kya kare Buddhijeevi ke yaha.n sukhe ka matlab aur … [Read more...]
Adam Gondvi – T.V. se akhbaar tak gar sex ki bauchhar ho (अदम गोंडवी – टी. वी. से अख़बार तक ग़र सेक्स की बौछार हो)
Adam Gondvi ***** T.V. se akhbaar tak gar sex ki bauchhar ho T.V. se akhbaar tak gar sex ki bauchhar ho Phir bataao kaise apni soch ka vistaar ho Bah gaye kitne Sikandar waqt ke sailaab mein Akal is kachche ghade se kaise dariya paar ho Sabhyata ne maut se dar ke utaaye hai kadam Taaj ki kaareegari ya Chin ki deewar ho Meri khuddaari ne apna sar jhukaaya do jagah Wo koi majloom ho ya … [Read more...]
Adam Gondvi – Sau mein sattar aadmi filhaal jab naashaad hai (अदम गोंडवी – सौ में सत्तर आदमी फ़िलहाल जब नाशाद है)
Adam Gondvi ***** Sau mein sattar aadmi filhaal jab naashaad hai Sau mein sattar aadami filhaal jab naashaad hai Dil pe rakh kar haath kahiye desh kya aazad hai Kothiyon se mulk ke meaar ko mat aa.nkiye Asali Hindustan to futpaath pe aabaad hai Jis shahar mein muntzim andhe ho jalwaagaah ke Us shahar mein roshani ki baat bebuniyaad hai Ye nayi peedhi pe mabani hai wahi.n jajment … [Read more...]
Adam Gondvi – Jism kya hai rooh tak sab kuchh khulaasa dekhiye (अदम गोंडवी – जिस्म क्या है रूह तक सब कुछ ख़ुलासा देखिये)
Adam Gondvi ***** Jism kya hai rooh tak sab kuchh khulaasa dekhiye Jism kya hai rooh tak sab kuchh khulaasa dekhiye Aap bhi is bheed mein ghus kar tamaasha dekhiye Jo badal sakti hai is puliya ke mausam ka mizaaz Us yuva peedhi ke chehare ki hataasha dekhiye Jal raha hai desh yah bahala rahi hai kaum ko Kis tarah ashleel hai kavita ki bhaasha dekhiye Matsygandha phir koi hogi kisi rishi … [Read more...]
Adam Gondvi – Bhukhmari ki jad mein hai ya daar ke saaye mein hai (अदम गोंडवी – भुखमरी की ज़द में है या दार के साये में है)
Adam Gondvi ***** Bhukhmari ki jad mein hai ya daar ke saaye mein hai Bhukhmari ki jad mein hai ya daar ke saaye mein hai Ahale hindustan ab talwaar ke saaye mein hai Chha gai hai zehan ki parto.n par maayoosi ki dhoop Aadmi girti hui deewar ke saaye mein hai Bebasi ka ik samndar dur tak faila hua Aur kashti kaagazi patwaar ke saaye mein hai Ham faqiro.n ki na poochho mutmayin wo bhi … [Read more...]
Adam Gondvi – Jo ulajh kar rah gai hai faailon ke jaal mein (अदम गोंडवी – जो उलझ कर रह गई है फाइलों के जाल में)
Adam Gondvi ***** Jo ulajh kar rah gai hai faailon ke jaal mein Jo ulajh kar rah gai hai faailon ke jaal mein Gaanv tak wo raushani aayegi kitne saal mein Boodha bargad saakshi hai kis tarh se kho gai Ramsudhi ki jhopdi sarpanch ki chaupal mein Khet jo seeling ke the sab chak mein shaamil ho gaye Humko patte ki sanad milti bhi hai to taal mein Jiski keemat kuchh na ho is bheed ke … [Read more...]
Adam Gondvi – Aankh par patti rahe aur akal par tala rahe (अदम गोंडवी – आँख पर पट्टी रहे और अक्ल पर ताला रहे)
Adam Gondvi ***** Aankh par patti rahe aur akal par tala rahe Aankh par patti rahe aur akal par taala rahe Apne shaahe waqt ka yoon martaba aalaa rahe Dekhne ko de unhe Allah kamputar ki aankhe Sochne ko koi baba baalti waala rahe Taalibe shoharat hai kaise bhi mile milti rahe Aaye din akhbaar mein pratibhti ghotala rahe Ek jansevak ko duniya mein Adam kya chaahiye Chaar chhe chamache … [Read more...]
Adam Gondvi – Main chamaaron ki gali tak le chalunga aapko (अदम गोंडवी – मैं चमारों की गली तक ले चलूँगा आपको)
Adam Gondvi 2 October 1947/ Gonda - 18 December 2011/ Lucknow अपनी किताब 'धरती की सतह पर' में अदम गोंडवी जी ने एक लम्बी कविता लिखी थी जिसका शीर्षक था "मैं चमारों की गली तक ले चलूँगा आपको"। यह कविता एक दलित युवती की कहानी कहती है जिसे सवर्णों की वासना का शिकार होने के बावजूद हमारा सामाजिक ढ़ांचा न्याय नहीं दिलवा पाता। आज उनकी वही रचना आप सब लिए प्रस्तुत कर रहे है। ***** (मैं चमारों की गली तक … [Read more...]
Adam Gondvi – Tumhari faailon mein gaanv ka mausam gulaabi hai (अदम गोंडवी – तुम्हारी फाइलों में गाँव का मौसम गुलाबी है)
Adam Gondvi ***** Tumhari faailon mein gaanv ka mausam gulaabi hai Tumhari faailon mein gaanv ka mausam gulaabi hai Magar ye aankade jhoothe hai ye daawa kitaabi hai Udhar zamhuriyat ka dhol peete jaa rahe hai wo Idhar parde ke peechhe barbriyat hai, nawaabi hai Lagi hai hod si dekho ameeri o gareebi mein Ye gandhiwaad ke dhaanche ki buniyaadi kharabi hai Tumhari mej chaandi ki tumhare … [Read more...]