*****
Jab bhi kisi nigah ne mausam sajaye hain
Jab bhi kisi nigah ne mausam sajaye hain
Tere labon ke phool bahut yaad aaye hain
Nikale the jab safar pe to mahdood tha jahan
Teri talash ne kai aalam dikhaye hain
Riston ka aitbaar, wafaaon ka intezaar
Hum bhi chiraag le ke hawaaon mein aaye hain
Raston ke naam, waqt ke chehare badal gaye
Ab kya bataaye kisko kahan chhod aaye hain
Ae shaam ke farishto jara dekh ke chalo
Bacchon ne saahilon pe gharonde banaaye hain
Nida Fazli
<—-Jo kho jata hai milkar zindagi mein Safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna—->
Collection of Nida Fazli Shyari and Ghazal
*****
जब भी किसी निगाह ने मौसम सजाये हैं
जब भी किसी निगाह ने मौसम सजाये हैं
तेरे लबों के फूल बहुत याद आये हैं
निकले थे जब सफ़र पे तो महदूद* था जहाँ
तेरी तलाश ने कई आलम दिखाए हैं
रिश्तों का ऐतबार, वफाओं का इंतज़ार
हम भी चिराग ले के हवाओं में आये हैं
रास्तों के नाम, वक़्त के चेहरे बदल गए
अब क्या बताये किसको कहाँ छोड़ आये हैं
ए शाम के फरिश्तो ज़रा देख के चलो
बच्चों ने साहिलों पैर घरोंदे बनाये हैं
महदूद = सीमित
निदा फ़ाज़ली
<—–जो खो जाता है मिलकर ज़िन्दगी में सफर को जब भी किसी दास्तान में रखना—>
निदा फ़ाज़ली की शायरी और ग़ज़लों का संग्रह
*****
Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!