Nida Fazli
*****
Mohabbat mein wafadari se bachiye
Mohabbat mein wafadari se bachiye
Jahan tak ho adakari se bachiye
Har ek soorat bhali lagti hai kuch din
Lahoo ki shobda-kaari se bachiye
Sharafat aadmiyat dard mandi
Bade shehron mein beemaari se bachiye
Zaroori kya har ek mehfil mein aana
Takalluf ki rawadaari se bachiye
Bina pairon ke sar chalte nahi hain
Buzurgon ki samajhdaari se bachiye
Nida Fazli
<—-Kahi kahi se har chehara tum jaisa lagta hai Walid ki wafat par —>
Collection of Nida Fazli Shyari and Ghazal
*****
मोहब्बत में वफादारी से बचिये
मोहब्बत में वफादारी से बचिये
जहाँ तक हो अदाकारी से बचिये
हर एक सूरत भली लगती है कुछ दिन
लहू की शोब्दाकारी से बचिये
शराफत आदमियत दर्द मंदी
बड़े शहरों में बीमारी से बचिये
ज़रूरी क्या हर एक महफ़िल में आना
तकल्लुफ की रवादारी से बचिये
बिना पैरों के सर चलते नहीं हैं
बुजुर्गों की समझदारी से बचिये
निदा फ़ाज़ली
<—-कही कही से हर चेहरा तुम जैसा लगता है वालिद की वफ़ात पर —>
निदा फ़ाज़ली की शायरी और ग़ज़लों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
bhaskar parmar says
great