Munawwar Rana
*****
Main iske naaz uthaata hoon so ye aesa nahi karti
Main iske naaz uthaata hoon so ye aesa nahi karti
Yah mitti mere haathon ko kabhi maila nahi karti
Khilauno ki dukaano ki taraf se aap kyon gujare
Ye bachche ki tamanna hai yah samjhauta nahi karti
Shaheedon ki zameen hai jisko Hindustan kahte hai
Ye banjar ho ke bhii bujdil kabhi paida nahi karti
Mohabbat kya hai dil ke saamne majboor ho jaana
Zulekha warna Yusuf ka kabhi sauda nahi karti
Gunahgaaron ki saf mein rakh diya mujhko jaroorat ne
Main naamrahm hoon lekin mujhse ye parda nahin karti
Ajab duniya hai titali ke paro ko noch leti hai
Ajab titali hai par nuchne pe bhii roya nahi karti
Munawwar Rana
<—–Sahara-pasand ho ke simatne laga hoon main Jurrat se har nateeje ki parwaa kiye bagair—->
Munawwar Rana ki ghazalon ka sangrah
*****
मैं इसके नाज़ उठाता हूँ सो यह ऐसा नहीं करती
मैं इसके नाज़ उठाता हूँ सो यह ऐसा नहीं करती
यह मिट्टी मेरे हाथों को कभी मैला नहीं करती
खिलौनों की दुकानों की तरफ़ से आप क्यों गुज़रे
ये बच्चे की तमन्ना है यह समझौता नहीं करती
शहीदों की ज़मीं है जिसको हिन्दुस्तान कहते हैं
ये बंजर हो के भी बुज़दिल कभी पैदा नहीं करती
मोहब्बत क्या है दिल के सामने मजबूर हो जाना
जुलेखा वरना यूसुफ का कभी सौदा नहीं करती
गुनहगारों की सफ़ में रख दिया मुझको ज़रूरत ने
मैं नामरहम* हूँ लेकिन मुझसे ये परदा नहीं करती
अजब दुनिया है तितली के परों को नोच लेती है
अजब तितली है पर नुचने पे भी रोया नहीं करती
* नारहम – अपवित्र
मुनव्वर राना
<—–सहरा-पसंद हो के सिमटने लगा हूँ मैं जुर्रत से हर नतीजे की परवा किये बगै़र—->
मुनव्वर राना कि ग़ज़लों का संग्रह
*****
Tag – Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स,
Join the Discussion!