Rahat Indori
*****
Aankh mein paani rakho hoton pe chingaari rakho
Aankh mein paani rakho hoton pe chingaari rakho
Zindaa rahna hai to tarkeeben bahut saari rakho
Raah ke patthar se badhkar kuchh nahiin hain manzilen
Raaste aawaaz dete hain safar zaari rakho
Ek hee naddi ke hain ye do kinaare dosto
Dostaanaa zindagi se maut se yaari rakho
Aate jaate pal ye kahte hain hamaare kaan mein
Kooch ka ailaan hone ko hai tayyaari rakho
Ye jaruri hai ki aankhon ka bhram kaayam rahe
Neend rakho ya n rakho khwaab me yaari rakho
Ye hawaayen ud na jaayen le ke kaagaz ka badan
Dosto mujh par koi patthar zaraa bhaari rakho
Le to aaye shayari baazaar mein ‘Rahat’ miyaan
Kyaa zaruuri hai ki lahje ko bhi baazaari rakho
Rahat Indori
<—- Zindagi ko zakham ki lazzat se mat mehroom kar Raah Mein Khatre Bhi Hain Lekin Thaharta Kaun Hai—>
Collection of Rahat Indori Ghazals and Shayari
*****
आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
आँख में पानी रखो होंटों पे चिंगारी रखो
ज़िंदा रहना है तो तरकीबें बहुत सारी रखो
राह के पत्थर से बढ़ कर कुछ नहीं हैं मंज़िलें
रास्ते आवाज़ देते हैं सफ़र जारी रखो
एक ही नद्दी के हैं ये दो किनारे दोस्तो
दोस्ताना ज़िंदगी से मौत से यारी रखो
आते जाते पल ये कहते हैं हमारे कान में
कूच का ऐलान होने को है तय्यारी रखो
ये ज़रूरी है कि आँखों का भरम क़ाएम रहे
नींद रखो या न रखो ख़्वाब मे यारी रखो
ये हवाएँ उड़ न जाएँ ले के काग़ज़ का बदन
दोस्तो मुझ पर कोई पत्थर ज़रा भारी रखो
ले तो आए शायरी बाज़ार में ‘राहत’ मियाँ
क्या ज़रूरी है कि लहजे को भी बाज़ारी रखो
राहत इन्दौरी
<—- ज़िंदगी को जख्म की लज़्ज़त से मत महरूम कर राह में ख़तरे भी हैं लेकिन ठहरता कौन है–>
राहत इन्दौरी कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Best, Latest, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Sher, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, शेर
Join the Discussion!