*****
Ab main raashan ki kataaron me nazar aata hoon
Ab main raashan ki kataaron me nazar aata hoon
Apne kheton se bichhadne ki saza paata hoon
Itni manhgaai ki bazaar se kuchh laata hoon
Apne bachchon me use baant-te sharmaata hoon
Apni neendon ka lahoo ponchhne ki koshish me
Jaagte-jaagte thak jaata hoon to so jaata hoon
Koi chaadar samaz ke kheench na le fir se “Khaleel”
Main kafan odh ke footpaath pe so jaata hoon
Khaleel Dhantejvi
*****
अब मैं राशन की कतारों में नज़र आता हूँ
अब मैं राशन की कतारों में नज़र आता हूँ
अपने खेतों से बिछड़ने की सजा पाता हूँ
इतनी महंगाई की बाज़ार से कुछ लाता हूँ
अपने बच्चों में उसे बाँट के शर्माता हूँ
अपनी नींदों का लहूं पोंछने की कोशिश में
जागते-जागते थक जाता हूं, सो जाता हूं
कोई चादर समझ के खींच न ले फिर से “खलील”
मैं कफ़न ओढ़ के फूटपाथ पे सो जाता हूँ
खलील धनतेजवी
*****
Join the Discussion!