Bashir Badr
*****
Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
Mohabbaton mein dikhawe ki dosti na mila
Agar gale nahin milta to haath bhi na mila
Gharon pe naam they, naamon key saath ohde they
Bahut talaash kiya koi aadmi na mila
Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
Phir uske baad mujhe koi ajnabi na mila
Khuda ki itni badi kaaynat mein maine
Bas eik shakhs ko manga mujhe wohi na mila
Bahut ajeeb hai ye qurbaton ki doori bhi
Wo mere saath raha aur mujhe kabhi na mila
Bashir Badr
<—— Itna mat chaaho use wo bewafa ho jayega Hoton pe mohabbat key fasane nahin aate—–>
Collection of Bashir Badr Ghazals and Shayari
*****
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
मोहब्बतों में दिखावे की दोस्ती न मिला
अगर गले नहीं मिलता, तो हाथ भी न मिला
घरों पे नाम थे, नामों के साथ ओहदे थे
बहुत तलाश किया, कोई आदमी न मिला
तमाम रिश्तों को मैं, घर में छोड़ आया था
फिर इसके बाद मुझे, कोई अजनबी न मिला
ख़ुदा की इतनी बड़ी कायनात में मैंने
बस एक शख़्स को मांगा, मुझे वही न मिला
बहुत अजीब है ये कुरबतों की दूरी भी
वो मेरे साथ रहा, और मुझे कभी न मिला
बशीर बद्र
<—– इतना मत चाहो उसे, वो बेवफ़ा हो जाएगा होठों पे मुहब्बत के फ़साने नहीं आते—–>
बशीर बद्र की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Best, Latest, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Sher, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, शेर
Join the Discussion!