Waseem Barelvi
*****
Bure zamane kabhi poochh kar nahi aate
Tumhari raah mein mitti ke ghar nahi aate
Isliye to tumhe hum nazar nahi aate
Mohabbaton ke dinon ki yahi kharabi hai
Ye rooth jayen to laut kar nahi aate
Jinhe saleeqa hai tehzeeb e gam samajhne ka
Unhi ke rone mein aansu nazar nahi aate
Khushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
Bure zamane kabhi poochh kar nahi aate
Waseem Barelvi
<—-Zehen main paani ke baadal agar aaye hote Kaun si baat kahan kaise kahee jaati hai —–>
Collection of Waseem Barelvi Ghazals and Shayari
*****
बुरे ज़माने कभी पूछ कर नहीं आते
तुम्हारी राह में मिटटी के घर नहीं आते
इसीलिए तुम्हे हम नज़र नहीं आते
मोहब्बतो के दिनों की यही खराबी है
ये रूठ जाएँ तो लौट कर नहीं आते
जिन्हें सलीका है तहजीब-ए-गम समझाने का
उन्ही के रोने में आंसू नज़र नहीं आते
खुशी की आँख में आंसू की भी जगह रखना
बुरे ज़माने कभी पूछ कर नहीं आते
वसीम बरेलवी
<—–ज़हन में पानी के बादल अगर आये होते कौन सी बात कहाँ कैसे कही जाती है ——>
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
ajhar says
achche lge tere kahne ke andaz…..ae Goya….tune bat bhi kah diya……or rishto ki laaz bhi rkh li.