Munawwar Rana
*****
Sab ke kehne se iraada nahi badla jata
Sab ke kehne se iraada nahi badla jata
Har saheli se dupatta nahi badla jaata
Hum ke shayar hain siyasat nahi aati humko
Humse munh dekh ke lehza hain badla jaata
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hain
Warna kya shaher mein shajra nahi badla jata
Aisa lagta hain ki wo bhool gaya hain humko
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata
Jab rulaaya hain to hasne pe na majboor karo
Roz beemaar ka nuskha nahi badla jaata
Gham se fursat hi kahan hain ke tujhe yaad karoon
Itni laashen hain to kadhan nahi badla jaata
Umar ek talkh hakikat hain dosto phir bhi
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata
Munawwar Rana
<—–Bhaut paani barasta hai toh mitti baith jaati hai Ishq hain to ishq ka izhaar hona chahiye——->
Collection of Munawwar Rana Ghazals And Shayari
*****
सब के कहने से इरादा नहीं बदला जाता
सब के कहने से इरादा नहीं बदला जाता
हर सहेली से दुपट्टा नहीं बदला जाता
हम तो शायर हैं सियासत नहीं आती हमको
हम से मुंह देखकर लहजा नहीं बदला जाता
हम फकीरों को फकीरी का नशा रहता हैं
वरना क्या शहर में शजरा* नहीं बदला जाता
ऐसा लगता हैं के वो भूल गया है हमको
अब कभी खिडकी का पर्दा नहीं बदला जाता
जब रुलाया हैं तो हसने पर ना मजबूर करो
रोज बीमार का नुस्खा नहीं बदला जाता
गम से फुर्सत ही कहाँ है के तुझे याद करू
इतनी लाशें हैं तो कान्धा नहीं बदला जाता
उम्र एक तल्ख़ हकीकत हैं दोस्तों फिर भी
जितने तुम बदले हो उतना नहीं बदला जाता
शजरा = वंश क्रम का चार्ट
मुनव्वर राना
<——बहुत पानी बरसता है तो मिट्टी बैठ जाती है इश्क है तो इश्क का इजहार होना चाहिये ——->
मुनव्वर राना कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स
madan says
Waa kya bat h
Excellent