Munawwar Rana
*****
“Maa”
Labo par uske kabhi baddua nahi hoti,
Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti,
Iss tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
Maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai,
Maine rote hue ponche the kisi din aansoo,
Muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna,
Abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga,
Main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai,
Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai,
Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai,
Aye andhere dekh le muh tera kaala ho gaya,
Maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya,
Meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun,
Maa se is tarah liptun ki bachcha ho jaun,
Maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona,
Jahan buniyaad ho itni nami achhi nahi hoti,
Lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
Main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai…
Munawwar Rana
Bulandi der tak kis shakhsh ke hisse me rahti hai ——>
Collection of Munawwar Rana Ghazals And Shayari
*****
“माँ”
लबो पर उसके कभी बददुआ नहीं होती
बस एक माँ है जो कभी खफा नहीं होती
इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है
माँ बहुत गुस्से में होती है तो रो देती है
मैंने रोते हुए पोंछे थे किसी दिन आंसू
मुद्दतों माँ ने नहीं धोया दुपट्टा अपना
अभी ज़िंदा है माँ मेरी मुझे कुछ भी नहीं होगा
मैं जब घर से निकलता हूँ दुआ भी साथ चलती है
जब भी कश्ती मेरी सैलाब में आ जाती है
माँ दुआ करती हुई ख्वाब में आ जाती है
ए अँधेरे देख ले मुँह तेरा काला हो गया
माँ ने आँखें खोल दी घर में उजाला हो गया
मेरी ख्वाहिश* है की मैं फिर से फरिश्ता हो जाऊँ
माँ से इस तरह लिपटूँ कि बच्चा हो जाऊँ
माँ के आगे यूँ कभी खुलकर नहीं रोना
जहाँ बुनियाद हो इतनी नमी अच्छी नहीं होती
लिपट जाता हूँ माँ से और मौसी मुस्कुराती है
मैं उर्दू में ग़ज़ल कहता हूँ हिंदी मुस्कराती है
*ख्वाहिश = इच्छा
मुनव्वर राना
बुलंदी देर तक किस शख्श के हिस्से में रहती है——>
मुनव्वर राना कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, शायरी, ग़ज़ल, पोइट्री, पोयम, कविता, लिरिक्स,
Saurabh says
Sir mai.mrs saurabh.sir jab bhi mai aapka gazal padhta hoon mai bahut achha mahsoosh karta hoon.
Md.Belal Ansari says
Sir mera naam Md.Belal hai.sir apki jitni bhi ghajlen ,shayeri phari mujhe bahut pasand aayi.sir mai aapka bahut bara fan hun.sir aap mere ideal hain mujhe aapki tarah banna hai.please sir help me.
Mere jakhmo ke liye thori si marham dijiye
Manjil na sahi kam se kam nakse madam dijiye.
Md.Belal
sid raut says
jite raho sab
behtarin