Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 31 (Beti) Gharon mein yun sayaanee betiyaan bechain rehati hain Ki jaise saahilon par kashtiyaan bechain rehati hain Ye chidiyaa bhee meri betee se kitani milati julti hai Kahin bhi shaakhe-gul dekhe to jhulaa daal detee hai Ro rahe the sab to main bhee phoot ke ronr lagaa Warnaa mujhko betiyon ki rukhsatee acchee lagee Badee hone ko hain … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 30 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 30)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 30 (Gurbat) Ghar ki deewar pe kauve nahin achhe lagte Muflisee mein ye tamaashe nahin achhe lagte Muflisee ne saare aangan mein andhera kar diya Bhaai khaalee haath laute aur behane bujh gai Ameeree resham-o-kamkhwaab mein nangee nazar aai Gareebee shaan se ik taat ke parde mein rehati hai Isee galee mein wo bhookha kisaan rehata hai Ye … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 29 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 29)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 29 (Vividh) Wo chidiyaan thi duaayen padh ke jo mujhko jagaati thi Main aksar sochtaa tha ye tilaawat kaun karta hai Parinde chonch mein tinke dabaate jaate hain Main sochtaa hun ki ab ghar basa liya jaaye Ae mere bhaai mere khoon ka badlaa le le Haath mein roz ye talwaar nahin aayegi Naye kamron mein ye cheezein puraani kaun rakhta … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 28 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 28)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 28 (Vividh) Tumhaari aankhon ki tauheen hai zara socho Tumhaaraa chaahane waalaa sharaab peeta hai Kisi dukh ka kisi chehare se andaaza nahin hota Shazar to dekhne se sab hare maaloom hote hain Jaroorat se anaa ka bhaari pathar toot jaataa hai Magar phir aadami hi andar-andar toot jaataa hai Mohabbat ek aesa khel hai jismein mere … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 27 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 27)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 27 (Vividh) Ham saayaadaar ped zamaane ke kaam aaye Jab sukhne lage to jalaane ke kaam aaye Koyal bole ya gaureyya achha lagta hai Apne gaanv mein sab kuchh bhaiya achha lagta hai Khaandaani viraasat ke neelaam par aap apne ko taiyaar karte hue Us hawelee ke saare makeen ro diye us hawelee ko baazaar karte hue Udane se parinde ko shzar rok … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 26 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 26)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 26 (Bahu) Use jali hui laashein nazar nahin aati Magr wo sooi se dhaaga gujaar deta hai Wo peharon baith kar tote se baatein karta rehta hai Chalo achha hai ab nazarein badalna seekh jaayega Use haalaat ne roka mujhe mere masaayal ne Wafa ki raah mein dushwaariyan dono taraf se hain Tujhse bichhada to pasand aa gai betarteebi Isse pehale … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 25 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 25)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 25 (Bahu) Kisi bhi mod par tumse wafaadaari nahin hogi Hamein maaloom hai tumko ye beemaari nahin hogi Neem ka ped tha barsaat thi aur jhula tha Gaanv mein gujara jamaana bhi ghazal jaisa tha Ham kuchh sese tere deedaar mein kho jaate hain Jaise bacche bhare baazaar mein kho jaate hain Tujhe akele padhoon koi ham sabak na rahe Main … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 24 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 24)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 24 (Bacche) Talwaar to kya meri nazar tak nahin uththi Us shakhs ke bacche ki taraf dekh liya tha Ret par khelte bacchon ko abhi kya maaloom Koi sailaab gharaunda nahin rehane deta Dhuaan baadal nahin hota ki bachpan daud padta hai Khushi se kaun bachha karkhaane tak pahunchta hai Main chaahun to mithaai ki dukaane khol saktaa hun Magar … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 23 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 23)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 23 (Bacche) Farishte aa ke unke jism par khushboo lagaate hain Wo bacche rel ke dibbe mein jo jhaadoo lagaate hain Humakte khelte bacchon ki shaitaani nahin jaati Magar phir bhi hamaare ghar ki vieeraani nahin jaati Apne mustkbil ki chaadar par rafoo karte hue Maszidon mein dekhiye bacche wajoo karte hue Mujhe is shehar ki sab ladkiyaan … [Read more...]
Munawwar Rana / Maa / Part 22 (मुनव्वर राना / माँ / पार्ट 22)
Munawwar Rana ***** Munawwar Rana / Maa / Part 22 (Bhai) Raat dekha hai bahaaron pe khijaan ko hanste Koi tohafaa mujhe shaayad mera bhai dega Tumhein e bhaaiyon yun chhodna achha nahin lekin Hamein ab shaam se pehale thikaana dhoond lena hai Gham se lakshman ki tarah bhaai ka rishta hai mera Mujhko jangal mein akela nahin rehane deta Jo log kam ho to kaandha jaroor de dena Sarhaane … [Read more...]