Khumar Barabankvi ***** Ae maut unhein bhulaaye zamaane gujar gaye Ae maut unhein bhulaaye zamaane gujar gaye Aa ja ki zahar khaaye zamaane gujar gaye O jaane waale! aa ki tere intzaar mein Raste ko ghar banaaye zamaane gujar gaye Gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas Sab se nazaat paaye zamaane gujar gaye Kya laayak-e-sitam bhi nahin ab main doston Pathar bhi ghar mein aaye … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Kabhi sher-o-nagma banke kabhi aansuo mein dhalke ( ख़ुमार बाराबंकवी – कभी शेर-ओ-नगमा बनके कभी आँसूओ में ढलके)
Khumar Barabankvi ***** Kabhi sher-o-nagma banke kabhi aansuo mein dhalke Kahi sher-o-nagma banke kabhi aansuo mein dhalke Wo mujhe mile to lekin, mile soorat badal ke Ki wafa ki sakht raahe ki tumhaare paanv naazuk Na lo intkaam mujhse mere saath-saath chalke Na to hosh se taalluk na jaunoo se aashnaai Ye kahan pahunch gaye ham teri bazm se nikal ke Khumar Barabankvi <----Wo jo … [Read more...]
Collection of Khumar Barabankvi Shayari and Ghazals (खुमार बाराबंकवी की शायरी और ग़ज़लों का संग्रह)
Khumar Babarbankvi Collection of Khumar Barabankvi Shayari and Ghazals ***** 1 Khumar Barabankvi - Kiston mein khudkushi ka maza hum se puchiye (ख़ुमार बाराबंकवी - किस्तों में ख़ुदकुशी का मज़ा हम से पूछिए) 2 Khumar Barabankvi - Suna hai wo hume bhulane lage hai (ख़ुमार बाराबंकवी - सुना है वो हमें भुलाने लगे है) 3 Khumar Barabankvi - Hum unhen wo hume bhula baithe (खुमार बाराबंकवी - हम … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Wo jo aaye hayaat yaad aai (खुमार बाराबंकवी – वो जो आए हयात याद आई)
Khumar Barabankvi ***** Wo jo aaye hayaat yaad aai Wo jo aaye hayaat yaad aai Bhooli bisari si baat yaad aai Ki haal-e-dil unse kahke jab laute Unse kahne ki baat yaad aai Aapne din bana diya tha jise Zindgii bhar wo raat yaad aai Tere dar se uthe hi the ki hame Tangii-e-kaaynaat yaad aai Khumar Barabankvi <-----Haal-e-gham un ko sunaate jaaiye Kabhi sher-o-nagma banke … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Haal-e-gham un ko sunate jaiye (खुमार बाराबंकवी – हाल-ए-ग़म उन को सुनाते जाइए)
Khumar Barabankvi ***** Haal-e-gham un ko sunaate jaaiye Haal-e-gham un ko sunaate jaaiye Shart ye hai muskuraate jaaiye Aap ko jaate na dekha jaayega Shamma ko pahale bujhate jaaiye Shukriya lutf-e-musalsal ka magar Gaahe-gaahe dil dukhaate jaaiye Dushmano se pyar hota jaayega Dosto ko aajmaate jaaiye Roshani mahdood ho jinki Khumar Un charaago ko bujhate jaaiye Khumar … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Husn jab meharbaan ho to kya kijiye (खुमार बाराबंकवी – हुस्न जब मेहरबाँ हो तो क्या कीजिए)
Khumar barabankvi ***** Husn jab meharbaan ho to kya kijiye Husn jab meharbaan ho to kya kijiye Ishq kii magfirat kii dua kijiye Ia salike se unse gilaa kijiye Jab gilaa kijiye, hans diya kijiye Dusaron par agar tabsira kijiye Saamne aaina rakh liya kijiye Zindgii kat rahi hai bade chain se Aur gham ho to wo bhii ataa kijiye Koi dhika na rakha jaaye meri tarah Aese khul ke na sabse … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Ye misra nahin hai wajeefa mera hai (खुमार बाराबंकवी – ये मिसरा नहीं है वज़ीफा मेरा है)
Khumar Barabankvi ***** Ye misra nahin hai wajeefa mera hai Ye misra nahin hai wajeefa mera hai Khuda hai muhabbat, muhabbat khuda hai Kahoon kis tarah main ki wo bewafa hai Mujhe uski majbooriyon ka pata hai Hawa ko bahut sarkashi ka nasha hai Magar ye na bhule diya bhii diya hai Main usse juda hoon, wo mujhse juda hai Muhabbat ke maaro ka bajl-e-khuda hai Nazar mein hai jalte … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Duniya ke zor pyaar ke din yaad aa gaye (खुमार बाराबंकवी – दुनिया के ज़ोर प्यार के दिन याद आ गये)
Khumar Barabankvi ***** Duniya ke zor pyaar ke din yaad aa gaye Duniya ke zor pyaar ke din yaad aa gaye Do baajuo ki haar ke din yaad aa gaye Gujare wo jis taraf se bajaaye mahak utthi Sabko bhari bahaar ke din yaad aa gaye Ye kya ki unke hote hue bhii kabhi-kabhi Fodoras-e-intzaar ke din yaad aa gaye Waade ka unke aaj khyaal aa gaya mujhe Shak aur aetbaar ke din yaad aa gaye Naada … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Na hara hai ishq, na duniya thaki hai (खुमार बाराबंकवी – न हारा है इश्क, न दुनिया थकी है)
Khumar Barabankvi ***** Na hara hai ishq, na duniya thaki hai Na hara hai ishq, na duniya thaki hai Diya jal raha hai, hawa chal rhai hai Sukoon hi sukoon hai khusi hi khusi hai Tera gham salaamat mujhe kya kami hai Wo maujood hai aur unki kami hai Muhabbat bhi tahaai-e-daayami hai Khatak gudgudi ka maza de rahi hai Jise ishq kahte hai shaayad yahi hai Charaagon ke badle makaan jal … [Read more...]
Khumar Barabankvi – Wo hamein jis qadar aazamate rahe (खुमार बाराबंकवी -वो हमे जिस कदर आज़माते रहे)
Khumar Barabankvi ***** Wo hamein jis qadar aazamate rahe Wo hamein jis qadar aazamate rahe Apni hi mushkilon ko badate rahe Wo akele mein bhi jo lagate rahe Ho na ho un ko hum yaad aate rahe Yaad karne par bhi dost aaye na yaad Doston ke karam yaad aate rahe Aankhen sukhi hui nadiyan ban gain Aur tufan badsatur aate rahe Pyar se un ka inkar bar-haq magar Lab ye q der tak … [Read more...]