Bashir Badr ***** Koi phool dhoop ki pattiyon mein hare riban se bandha hua Koi phool dhoop ki pattiyon mein hare riban se bandha hua Wo ghazal ka lahaza naya-naya, na kaha hua na suna hua Jise le gayi abhi hawa wo wark tha dil ki kitaab ka Kahin aansuon se mita hua kahin aansuon se likha hua Kai meel ret ko kaatkar koi mauj phool khila gai Koi ped pyaas se mar raha hai nadi ke paas … [Read more...]
Bashir Badr – Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakhe hain (बशीर बद्र – दिल की दहलीज़ पे यादों के दिए रक्खे हैं)
Bashir Badr ***** Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakhe hain Dil ki dehleez pe yaadon ke diye rakhe hain Aaj tak hamne ye darwaaze khule rakhe hain Is kahani ke wo kirdaar kahan se laaun Wahi dariya hai wahin kacche ghade rakhe hain Ham pe jo gujari na bataaya na bataayenge kabhi Kitne khat ab bhi tere naam likhe rakhe hain Aapke paas khareedaari ki kuvvat hai agar Aaj sab log dukaano … [Read more...]
Bashir Badr – Ab tere mere beech koi faasla bhi ho (बशीर बद्र – अब तेरे मेरे बीच कोई फ़ासला भी हो)
Bashir Badr ***** Ab tere mere beech koi faasla bhi ho Ab tere mere beech koi faasla bhi ho Ham log jab mile to koi dusra bhi ho Tu jaanta nahin meri chaahat ajeeb hai Mujhko mana raha hain kabhi khud khafa bhi ho Tu bewafa nahin hai magar bewafaai kar Uski nazar mein rehane ka kuchh silsila bhi ho Patjhad ke toot te hue patton ke saath-saath Mausam kabhi to badlega ye aasra bhi … [Read more...]
Bashir Badr – Hansi masoom si bachcho ki kapi mein ibarat si (बशीर बद्र – हँसी मासूम सी बच्चों की कापी में इबारत सी)
Bashir Badr ***** Hansi masoom si baccho ki kapi mein ibarat si Hansi masoom si bachcho ki kapi mein ibarat si Hiran ki peeth par baithe parinde ki shararat si Wo jaise sardiyon mein garm kapde de faqiron ko Labo pe muskuraahat thi magar kaisi hikarat si Udaasi patjhadon ki shaam odhe raasta takti Pahari par hazaaron saal ki koi imarat si Sajaaye baajuon par baaj wo maidaan mein tanha … [Read more...]
Bashir Badr – Adab ki had mein hun main be-adab nahin hota (बशीर बद्र – अदब की हद में हूं मैं बे-अदब नहीं होता)
Bashir Badr ***** Adab ki had mein hun main be-adab nahin hota Adab ki had mein hun main be-adab nahin hota Tumhara tazkira ab roz-o-shab nahin hota Kabhi- kabhi to chhalak padti hai yun hi aankhen Udaas hone ka koi sabab nahin hota Kai ameeron ki mahrumiyan na poochh ki bas Gareeb hone ka ehsaas ab nahin hota Main waalidain ko ye baat kaise samjhaun Mohabbaton mein habas-o-nasab nahin … [Read more...]
Famous Shayari of Bashir Badr – Part 1 (बशीर बद्र की प्रसिद्ध शायरी – पार्ट 1)
Bashir Badr बशीर बद्र की 10 प्रसिद्ध शायरी ***** 1 लोग टूट जाते हैं एक घर बनाने में, तुम तरस नहीं खाते बस्तियां जलाने में। Log toot jaate hai ek ghar banaane mein Tum taras nahi khaate bastiyan jalaane mein Link ***** 2 हर धड़कते पत्थर को, लोग दिल समझते हैं उम्र बीत जाती है, दिल को दिल बनाने में Har dharhkate patthar ko, log dil samajhte hain Umar beet jaati hain, dil … [Read more...]
Bashir Badr – Kisne mujhko sada di bata kaun hai (बशीर बद्र – किसने मुझको सदा दी बता कौन है)
Bashir Badr ***** Kisne mujhko sada di bata kaun hai Kisne mujhko sada di bata kaun hai Ae hawa tere ghar mein chhupa kaun hai Baarishon mein kisi ped ko dekhna Shaal odhe hue bheegta kaun hai Mian yahan dhoop mein tap raha hoon magar Wo paseene mein dooba hua kaun hai Aasmanon ko humne bataaya nahin Doobati shaam mein dubata kaun hai Khushbuon mein nahaai hui shaakh par Phool sa … [Read more...]
Bashir Badr – Sanwaar nok palak abruon mein kham karde (बशीर बद्र – सँवार नोक पलक अबरूओं में ख़म कर दे)
Bashir Badr ***** Guroor us pe bahut sajta hai magar keh do Sanwaar nok palak abruon mein kham karde Gire padhe hue lafzon ko mohtram kar de Guroor us pe bahut sajta hai magar keh do Isee mein us ka bhala hai guroor kam kar de Yahan libas ki keemat hai admi ki nahin Mujhe gilas bade de sharab kam karde Chamkne wali hai tahrir meri kismat ki Koi chiragh ki lau ko zara sa kam karde Kisi … [Read more...]
Bashir Badr – Khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye (बशीर बद्र – ख़्वाब इस आँखों से अब कोई चुरा कर ले जाये)
Bashir Badr ***** Khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye Khwab is aankhon se ab koi chura kar le jaye qabr ke sookhe hue phool utha kar le jaye Mutizar phool mein khusboo ki tarah hoon kab se Koi jhoken ki tarah aaye uda kar le jaye Ye bhi pani hai magar aankhon ka aesa pani Jo hatheli pe rachi mehandi uda kar le jaye Main mohabbat se mahakta hua khat hoon mujh ko Zindgii apni … [Read more...]
Bashir Badr – Raat ke saath raat leti thi (बशीर बद्र – रात के साथ रात लेटी थी)
Bashir Badr ***** Raat ke saath raat leti thi Raat ke saath raat leti thi Subah ek paalne mein roti thi Yaad ki barfposh tahani par Ek gilhari udaas baithi thi Main ye samjha ke laut aaye tum Dhoop kal itni ujali ujali thi Kitne shaadaab, kitne dilkash the Jab nadi roz hamss milti thi Ek kurte ke baay kone par Pyar ki surkh titali baithi thi Kitni halki kameez pahane hue Subah … [Read more...]