Hunar Shayari, Status, Quotes, Hindi, New, Best, Famous, Images, WhatsApp, Facebook, हुनर शायरी
*****
जिन्दगी में ये हुनर भी आना चाहिए
अपनों से हो जंग तो हार जाना चाहिए
Zindagii mein yah hunar bhi aana chaahiye
Apne se ho jang to haar jana chaahiye
Bachpan Shayari | Childhood Shayari | बचपन शायरी
Hunar Shayari
*****
जमाने में आये हो तो जीने का हुनर रखना
दुश्मनों का कोई खतरा नहीं, बस अपनों पर नजर रखना
Jammane mein aaye to jeene ka hunar rakhna
Dushmano ka khatra nahin, bas apnon pe nazae rakhna
*****
एक रास्ता ये भी है मंजिलों को पाने का
सीख लो तुम भी हुनर हाँ में हाँ मिलाने का
Ek raasta ye bhi hai manzilon ko paane ka
Seekh lo tum bhi hunar haan mein haan milane ka
*****
छोटी से उम्र में बड़े तजुर्बे करवा दिए
पेट की भूख ने सैकड़ों हुनर सिखा दिए
Chhoti se umar ne bade tajurbe karwa diye
Pet ki bhookh ne saikadon hunar seekha diye
*****
सोचों तो एक खूबसूरत हुनर है खामोश रहना
अकेले में सोचना, कितना बड़ा ऐब है सब कुछ कहना
Socho to ek khoobsurat hunar hai khamosh rahna
Akele mein sochna, kitana bada aeb hai sab kuchh kahna
*****
माना कि पहुँच गया हूँ सफलता की ऊँचाइयों पर आज मैं
लेकिन लोगों के दिलों में उतरने का हुनर आज भी रखता हूँ
Mana ki pahunch gaya hoon safalta ki unchaaiyon par aaj main
Lekin logon ke dil mein utarne ka hunar aaj bhi rakhta hoon
*****
आज कतरा के गुजरते हुए पाया है तुझे
बेवफाई का हुनर किसने सिखाया है तुझे
Aaj katra ke guzarte hue paya hai tujhe
Bewafai ka hunar kisne sikhaya hai tujhe
Bewafa Sanam Shayari | बेवफा सनम शायरी
Latest Hunar Shayari
*****
हुनर तो सबमें होता है फर्क सिर्फ़ इतना आता है
किसी का छिप जाता है तो किसी का छप जाता हैं
Hunar to sabme hota hai fark sirf itna aata hain
Kisi ka chhip jaata hai to kisi ka chhap jaata hain
*****
दिल का दर्द अक्सर आँखों में आँसू लाता हैं
पर इंसान इन्हें छुपाने का हुनर सीख जाता हैं
Dil ka dard aksar aankhon mein aansoo lata hain
Par insan inhein chuupane ka hunar seekh jata hain
*****
वक्त सिखा देता है जीने का हुनर फिर
क्या नसीब, क्या मुक़द्दर और क्या हाथ की लकीरें
Waqt seekha deta hai jeene ka hunar phir
Kya naseeb, kya muqddar aur kya haath ki laqeerein
*****
न जाने किस हुनर को शायरी कहते होंगे लोग
हम तो वो लिख़ रहे हैँ, जो किसी से कह नहीं पाते
Na jane kis hunar ko shayari kahate honge log
Ham to wo likh rahe hain, jo kisi se kah nahin paate
*****
मुझे हर किसी को अपना बनाने का हुनर आता है
तभी मेरे बदन पर रोज़ एक घाव नया नज़र आता है
Mujhe har kisi ko apna banaane ka hunar aata hai
Tabhi mere badan par roz ek ghaav naya nazar aata hai
*****
खुद को मनवाने का मुझको भी हुनर आता है
मैं वह कतरा हूँ समन्दर मेरे घर आता हैं
वसीम बरेलवी
Khud ko manwaane ka mujhko bhi hunar aata hai
Main wah katra hoon samndar mere ghar aata hain
Waseem Barelvi
Famous Hunar Shayari
*****
मशहूर होने का हुनर हम भी रखते हैं
पर कोई काम बेईमानी से नही करते हैं
Mashhoor hone ka hunar ham bhi rakhte hain
Par koi kaam beimaan se nahi karte hain
*****
तारीफ किसी की करने के लिए जिगर चाहिये
बुराई तो बिना हुनर के किसी की भी कर सकते हैं
Tarif kisi ki karne ke liye jigar chaahiye
Buri to bina hunar ke kisi ki bhi kar akte hain
*****
ये हुनर हादसों ने बख़्शा है
फ़ितरतन कोई चुप नहीं रहता
Ye hunar hadason ne bakhsha hai
Fitratan koi chup nahin rahta
*****
लोग अक्सर वही कम बोलते है
ज़माने में जिनके हुनर बोलते है
Log aksar kam wahi bolte hai
Jamane mein jinke hunar bolte hain
*****
मुफ्त में नहीं सीखा उदासी में मुस्कुराने का हुनर
बदले में जिन्दगी की हर ख़ुशी तबाह की हैं
Muft mein nahi seekha udaasi mein muskuraane ka hunar
Badale mein zindagi ki har khushi tabah ki hain
*****
औरों के जोर पर अगर उड़कर दिखाओगे
अपने परों से उड़ने का हुनर भूल जाओगे
Auron ke zor par agar udkar dikhaaoge
Apne paron se udane ka hunar bhool jaaoge
Hunar Status
*****
जिनके आँगन में अमीरी का शज़र लगता है
उन का हर ऐब भी जमाने को हुनर लगता हैं
अंजुम रहबर
Jinke aangan mein ameeri ka shazar lagta hai
Un ka har aeb bhi jammane ko hunar lagta hai
Anjum Rahbar
*****
मुझमें हुनर कुछ ख़ास नहीं
सादगी के सिवा कुछ मेरे पास नहीं
Mujhse hunar kuchh khaas nahin
Sadagi ke siwa kuchh mere paas nahin
*****
जुल्म के सारे हुनर हम पर यूँ आजमाए गये
जुल्म भी सहा हमने, और जालिम भी कहलाये गये
Zulam ke sare hunar ham par yun aajmaaye gaye
Zulam bhi saha hamne aur zaalim bhi kahlaaye gaye
*****
बचपन में याद करने का हुनर, जवानी में भूलने का हुनर
सीखते-सीखते ना जाने कब बुढ़ापा आ गया
Bachpan mein yaad karne ka hunar, jawani mein bhoolane ka hunar
Seekhte-seekhte naa jane kab budhapa aa gaya
*****
इश्क में आसान है तो भुला दो
हो सके तो ये हुनर मुझे भी सिखा दो
Ishq mein aasan hai to bhula do
Ho sake to ye hunar mujhe bhi seekha do
*****
कभी इस हुनर को भी आजमा कर देखना
दिल में हजारों गम हो फिर भी मुस्कुरा कर देखना
Kabhi is hunar ko bhi aajma kar dekhna
Dil mein hazaaron gam ho phir bhi muskura kar dekhna
Hunar Quotes
*****
लगता है मैं भूल चुका हूँ मुस्कुराने का हुनर
कोशिश जब भी करता हूँ आँसू निकल आते हैं
Lagta hai main bhool chuka hoon, muskuraane ka hunare
Koshish jab bhi karta hoon aansoo nikal aate hai
*****
हम भी दरिया हैं हमें अपना हुनर मालूम हैं
जिस तरफ भी चल पड़ेंगे रास्ता हो जाएगा
बशीर बद्र
Ham bhi dariya hain hamein apna hunar maaloom hain
Jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega
Bashir Badr
*****
होठों ने सारी बातें छुपा कर रखी
आँखों को यह हुनर कभी आया ही नहीं
Honthon ne sari baatein chhupa kar rkahi
Aankhon ko yah hunar kabhi aaya hi nahi
*****
दिल में मुहब्बत, आँखों में इन्तजार का हुनर दे कर चला गया
चाहा था दिलों जान से जिस शख्स को नजाने किधर चला गया
Dil mein muhbbat, aankhon mein intzaar ka hunar de kar chala gaya
Chaaha tha dilon jaan se jis shaksh ko na jaane kidhar chala gaya
*****
मार ही डालते बेमौत ये दुनिया वाले
हम जो ज़िंदा है तो जीने का हुनर रखते हैं
Maar hi daalte bemaut ye duniya wale
Ham to zinda hai to jeene ka hunar rakhte hain
Hunar WhatsApp Shayari
*****
बारूद के इक ढेर पे बैठी हुई दुनिया
शोलों से हिफ़ाज़त का हुनर पूछ रही है
Baarood ke ik dher pe baithi hui duniya
Sholon se hifazat ka hunar puchh rahi hai
*****
गजलों का हुनर साकी को सिखाएंगे
रोएंगे मगर आंसू नहीं आएंगे
कह देना समंदर से हम ओस के मोती हैं
दरिया की तरह तुझसे मिलने नहीं आएंगे
Gazalon ka hunar saqi ko sikhayenge
Royenge magar aansoo nahin aayenge
Kah dena samndar se ham oas ke moti hai
Dariya ki tarah tujhse milane nahin aayenge
*****
परिंदो को मिलेगी मंज़िल एक दिन
ये फैले हुए उनके पर बोलते है
और वही लोग रहते है खामोश अक्सर
ज़माने में जिनके हुनर बोलते है
Parindo ko milegi manzil ek din
Ye faile hue unke par bolte hai
Aur wahi log rahte hai khamosh aksar
Jamane mein jinke hunar bolte hai
*****
जाने उस शख्स को कैसे ये हुनर आता है
रात होती है तो आँखों में उतर आता है
मैं उस के ख्यालों से बच के कहाँ जाऊं
वो मेरी सोच के हर रस्ते पर नजर आता हैं
Jane us shakhs ko kaise ye hunar aata hai
Raat hoti hai to aankhon mein utar aata hai
Main us ke khyaalon se bach ke kaha jaaun
Wo meri soch ke har raste par nazar aata hai
*****
चलो आज अपना हुनर आज़माते हैं
तुम तीर आजमाओ हम अपना जिगर आज़माते हैं
Chalo aaj apna hunar aajmaate hain
Tum teer aajmaao ham apna jigar aajmaate hain
*****
बस एक भूलने का हुनर ही तो नहीं आता
वरना भूलना तो हम भी बहुत कुछ चाहते है
Bas ek bhulane ka hunar hi to nahin aata
Warna bhoolna to ham bhi bahut kuchh chahate hai
Hunar Facebook Shayari
*****
- Tadpana Shayari | तड़पाना शायरी
- Tabahi Shayari | तबाही शायरी
- Jaun Elia Famous Shayari | जॉन एलिया की प्रसिद्ध शायरी
- प्रसिद्ध शायरों की ग़ज़लों का विशाल संग्रह
Join the Discussion!