*****
Safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna
Safar ko jab bhi kisi dastan mein rakhna
Kadam yakeen mein, manzil gumaan mein rakhna
Jo saath hai wahi ghar ka naseeb hai, lekin
Jo kho gaya, use bhi makaan mein rakhna
Jo dekhti hain nigaahein wahi nahin sab kuchh
Ye ehtiyaat bhi apne bayaan mein rakhna
Wo ek khwaab jo chehara kabhi nahin banta
Bana ke chaand use aasmaan mein rakhna
Chamkte chaand sitaaron ka kya bharosa hai?
Jameen ki dhool bhi apni udaan me rakhna
Sawaal to bina mehant ke hal nahin hote
Naseeb ko bhi magar imtihaan mein rakhna
Nida Fazli
<—- Jab bhi kisi nigah ne mausam sajaye hain Nayi-nayi aankhein ho to har manzar acha lagta hai–>
Collection of Nida Fazli Shyari and Ghazal
*****
सफर को जब भी किसी दास्तान में रखना
सफर को जब भी किसी दास्तान में रखना
कदम यकीन में, मंजिल गुमान में रखना
जो साथ है वही घर का नसीब है, लेकिन
जो खो गया, उसे भी मकान में रखना
जो देखती हैं निगाहें वही नहीं सब कुछ
ये एहतियात भी अपने बयान में रखना
वो एक ख्वाब जो चेहरा कभी नहीं बनता
बना के चाँद उसे आसमान में रखना
चमकते चाँद सितारों का क्या भरोसा है?
ज़मीं कि धुल भी अपनी उड़ान में रखना
सवाल तो बिना मेहनत के हल नहीं होते
नसीब को भी मगर इम्तिहान में रखना
गुमान = भ्रम
एहतियात = सावधानी
निदा फ़ाज़ली
<—–जब भी किसी निगाह ने मौसम सजाये हैं नयी-नयी आँखें हों तो हर मंज़र अच्छा लगता है—->
निदा फ़ाज़ली की शायरी और ग़ज़लों का संग्रह
*****
Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!