Ahmad Faraz (अहमद फ़राज़)
*****
Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain
Rog aise bhi gham-e-yaar se lag jaate hain
Dar se uthte hain to deewar se lag jaate hain
Ishq aagaaz mein halki se khalish rakhta hai
Baad mein saikdon aazaar se lag jaate hain
Pehle pehal hawas ik-aadh dukaan kholti hai
Phir to baazaar ke baazaar se lag jaate hain
Bebasi bhi kabhi kurbat ka sabab banti hai
Ro na paaye to gale yaar ke lag jaate hain
Katranein gham ki jo galiyon mein udi firati hai
Ghar mein le aao to ambaar se lag jaate hai
Daag daaman ke hon, dil ke hon ya chehare ke Faraz
Kuchh nishaan umar ki raftaar se lag jaate hai
Ahmad Faraz
<—-Silsile tod gaya woh sabhi jaate jaate Bujhi nazar to karishme bhi rozo shab ke gaye—–>
Collection of Ghazals and Lyrics of Ahmad Faraz
रोग ऐसे भी ग़म-ए-यार से लग जाते हैं
रोग ऐसे भी ग़म-ए-यार से लग जाते हैं
दर से उठते हैं तो दीवार से लग जाते हैं
इश्क आगाज़* में हलकी सी खलिश* रखता है
बाद में सैकड़ों आज़ार* से लग जाते हैं
पहले पहल हवस इक-आध दुकां खोलती है
फिर तो बाज़ार के बाज़ार से लग जाते है
बेबसी भी कभी कुर्बत* का सबब* बनती है
रो न पायें तो गले यार के लग जाते हैं
कतरनें ग़म की जो गलियों में उडी फिरती है
घर में ले आओ तो अम्बार से लग जाते है
दाग़ दामन के हों, दिल के हों या चेहरे के फ़राज़
कुछ निशाँ उम्र की रफ़्तार से लग जाते हैं
आगाज़ = शुरुआत
खलिश = दर्द
आज़ार = दर्द
कुर्बत = प्यार
सबब = कारण
अहमद फ़राज़
<—-सिलसिले तोड़ गया वो सभी जाते जाते बुझी नज़र तो करिश्मे भी रोज़ो शब के गये—->
अहमद फ़राज़ की ग़ज़लों और गीतों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Best, Latest, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning, Hindi, Urdu, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर, हिंदी, उर्दू,
Join the Discussion!