Bashir Badr
*****
Adab ki had mein hun main be-adab nahin hota
Adab ki had mein hun main be-adab nahin hota
Tumhara tazkira ab roz-o-shab nahin hota
Kabhi- kabhi to chhalak padti hai yun hi aankhen
Udaas hone ka koi sabab nahin hota
Kai ameeron ki mahrumiyan na poochh ki bas
Gareeb hone ka ehsaas ab nahin hota
Main waalidain ko ye baat kaise samjhaun
Mohabbaton mein habas-o-nasab nahin hota
Wahan ke log bade dilfareb hote hai
Mera behakna hi koi ajab nahin hota
Main is zameen ka deedar karna chahta hoon
Jahan kabhi bhi khuda ka gazab nahin hota
Bashir Badr
<—–Kisne mujhko sada di bata kaun hai Hansi masoom si bachcho ki kapi mein ibarat si—–>
Bashir Badr ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
*****
अदब की हद में हूं मैं बे-अदब नहीं होता
अदब की हद में हूं मैं बे-अदब नहीं होता
तुम्हारा तजिकरा* अब रोज़-ओ-शब* नहीं होता
कभी-कभी तो छलक पड़ती हैं यूं ही आंखें
उदास होने का कोई सबब नहीं होता
कई अमीरों की महरूमियां न पूछ कि बस
ग़रीब होने का एहसास अब नहीं होता
मैं वालिदैन को ये बात कैसे समझाउं
मोहब्बतों में हबस-ओ-नसब नहीं होता
वहां के लोग बड़े दिलफरेब होते हैं
मेरा बहकना भी कोई अजब नहीं होता
मैं इस ज़मीन का दीदार करना चाहता हूं
जहां कभी भी खुदा का ग़ज़ब नहीं होता
* तज़िकरा = जिक्र
* रोज़-ओ-शब = दिन और रात
* वालिदैन = माता-पिता
बशीर बद्र
<—–किसने मुझको सदा दी बता कौन है हँसी मासूम सी बच्चों की कापी में इबारत सी——>
बशीर बद्र कि ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स
Join the Discussion!