Waseem Barelvi
******
Zehen main paani ke baadal agar aaye hote
Zehen main paani ke baadal agar aaye hote
Maine mitti ke gharonde na banaaye hote
Dhoop ke aik hi mausam ne jinhein tod diya
Itne nazuk bhi ye rishtey na banaye hote
Doobte sheher main mitti ka makaan girta hi
Tum yeh sab soch ke meri taraf aaye hote
Dhoop ke sheher main ik umr na jalna padta
Hum bhi ae kaash kisi ped ke saaye hote
Phal padosi ke darakhton pe na pakte to ‘waseem’
mere aangan main ye patther bhi na aaye hote
Waseem Barelvi
<—–Bure zamane kabhi poochh kar nahi aate
Waseem Barelvi ki Ghazalon aur Shayariyon ka Sangrah
******
ज़हन में पानी के बादल अगर आये होते
ज़हन में पानी के बादल अगर आये होते
मैंने मिटटी के घरोंदे ना बनाये होते
धूप के एक ही मौसम ने जिन्हें तोड़ दिया
इतने नाज़ुक भी ये रिश्ते न बनाये होते
डूबते शहर मैं मिटटी का मकान गिरता ही
तुम ये सब सोच के मेरी तरफ आये होते
धूप के शहर में इक उम्र ना जलना पड़ता
हम भी ए काश किसी पेड के साये होते
फल पडोसी के दरख्तों पे ना पकते तो वसीम
मेरे आँगन में ये पत्थर भी ना आये होते
वसीम बरेलवी
<—-बुरे ज़माने कभी पूछ कर नहीं आते
वसीम बरेलवी की ग़ज़लों और शायरियों का संग्रह
*****
Tag – Famous, Shayari, Sher, Ghazal, Poetry, Poem, Kavita, Lyrics, Ashaar, Meaning in Hindi, Meaning of Urdu Words, प्रसिद्ध, शायरी, शेर, ग़ज़ल, पोयम, कविता, लिरिक्स, अशआर
Join the Discussion!